सोमवार, 25 अक्टूबर 2010

tab... aur ...Ab

Jab bhi vo kabhi ehsaas me bhi hota tha....
ye puri kaynaat khoobsurat lagne lagti thi...
vo khoosurat pahad dhundh se dhake hue yaad aane lagte the...
lagta tha mano main... kisi haseen jheel k uper ud rhi hun...
apni zindagi kam pad jaati thi jeene ko..
jee karta the dusron se maang kr unke hisse k pal bhi le lu..
har ek patta muskarata sa lagta tha.. aur dhoop bhi barf ki ujali chadar si....


jaise ek bachha apni maa ko dekh zindaji ko chahta h......
vaise hi ye man machalta tha sab kuch batane ko!!


Aur ab use dekh ye dhadkane badh jaati hain..
aur jee karta h kahin ja k chup jaane ko.........

vo...

Vo badi sadagi se dikha jata h..
ki use ab meri jaurat na rhi.....


aur hume aaj bhi uke siva
kisi aur ki chahat na hui....

गुरुवार, 21 अक्टूबर 2010

Papiha..


Ek ajeeb sa rang dekha har rang ka
chota utna hi saath dekha har sang ka  
sang-dil samajhte nhi dil ki baat ko 
allharpan ka naam mat de zazbaat ko 
har baar dil se dillagi nhi hoti.........! 

Har baar zamana aur chota nazar aata h 
aur dil k khayalaat aur bade...
papiha hu main shayad,,,,
samandar k dayre me bhatak k yun pyasa hi mar jaunga......!!

Aaj Fir...!



Aaj fir baitha hun aa k usi chaok pe...
keh k gya tha jahan k ab teri jarurat na rhi...
kaun kahta h ki koi jaanta nhi mere halat...
ye ujade hue manjar mere dil ki gawahi denge...
aaj fir pta bta diya unko apna maine....
ye soch kar ki kabhi to vo apne ghar ka rasta bhulenge..
tiki hain us band gali pe fir se nigahen meri....
zindagi ko intzaar ka fir se ek bahana mil gya....
jaagte hain vo aaj bhi mere khwabon me...
meri biyabaan aankhon me gairat bhi baaki na rhi..... 

Khuda bhi unhi ka...



Suna h ki hum me ehsaas nhi,
dard to h par kuch khaas nhi kahan se laayen,
sab kuch le gya koi, bus yahi baaki ehsaas rah gya... .....
patthar ki duniya,
armaanon k bazaar,
apnon ki bheed,
par har koi khariddaar,
har roj tootate rishte par unhi ki tahreer...
mahfilen bhi mili aur rusvaaie bhi....
kahan jayyen,
kahan nayee duniya basayen,,
khuda bhi unhi ka, aur khudaaie bhi..... 

Ae Khuda..


 Mat ched is duniya k adhure taranoon ko..
yahan har taal h tuti hui aur har rang h betaab bikhar jaane ko..
aaj kuch nya dard chahiye is dard ko dabane ko..
asnsoon de de ae khuda kuch nye bahane ko.....
bade armaan se chod k aaye use....
ki uske paas mera kuch ab baaki na rha par ye kahan ka insaaf h TERA.....
ki meri saanson k hisse ki hawayen b vo le gya..... 

kab talak




kab talak tu yun waqt ko baddua dega
kab talak tu yu khud ko taqdeer ka sila dega
Aaa baith yahan, bhul k sab..........
khula aasmaan... aur sara apna...
na jindagi ki gujarish na roj maut ki aadat
na vo jhuthe rishte na wafaao ka shaok
na chahiye tabassum kisi ki
na apne sukhe hue aansuon ki nami ka ranj.....
Aa baith yahan, sukun h tanha cheekhon k beech....
Aa baith yahan... aa baith yahan....